Tum milna mujhe
Tum harpal ka saath ban sako to milna mujhe,
Mere har sawaal ka jawab ban sako to milna mujhe,
Chamak - Dhamak mere man na bhaye,
Shame sang Kashi - Brij ke ghaat guzaar sako to milna mujhe,
Tum harpal ka saath ban sako to milne mujhe,
Andhere me dekha ujla khwab ban sako to milna mujhe,
Baatein tamam karte honge saare,
Tum khamoshi padh sako to milna mujhe,
Mere jazbaaton ko khud tak mahfuz rakh sako to milna mujhe,
Tum harpal ka saath ban sako to milna mujhe,
Mere hamsafar-hamraaz ban sako to milna mujhe,
Jhagdo se na parhez hai koi,
Par kabhi ruth ke na jaa sako to milna mujhe,
Kasame-waade,pyaar-wafa nibha sako to milna mujhe,
Tum harpal ka saath ban sako to milna mujhe,
Meri saanson ka saar ban sako to milna mujhe,
Tum milna mujhe.
Comments
Post a Comment